Mujhe Waqt Ne Uss Ke

Koche Se Bohat Door Laa Phenka

Jahan Usska Tasavvur To Tha

Lekin Badan Ki Khushboo Na Thi

Har Pal Usska Khayal To Tha

Lekin Woh Haseen Aanchal Na Tha

Jo Mere Aansoo Jazb Kar Leta

Dard O Gham Se Tang Aa Kar

Kai Baar Maut Ko Galay Lagana Chaaha

Lekin Har Baar Is Khayal Ne Daaman Thaam Liya

Ke Woh Bhi Mere Liye Beqaraar Hogi

Meri Muntazir Hogi

Aur Waqt Se ILtija Kar Rahi Hogi

Ke Humein Aik Baar Phir Mila De

 

 

Woh Jo Galay Milke Judaa Ho Gaye

Milne Ke Armaan Siwaa ( Fizaa ) Ho Gaye

 

Maar Gayi Ek Teri Neechi Nazar

Maar Gayi Ek Teri Neechi Nazar

Aur To Sab Ki Khataa Ho Gaye

Woh Jo Galay Milke Judaa Ho Gaye

Milne Ke Armaan Siwaa ( Fizaa ) Ho Gaye

 

 

Zulam Kahin Jinki Ijazat Nahin

Zulam Kahin Jinki Ijazat Nahin

Sab Teri Basti Mein Rawaan Ho Gaye

Woh Jo Galay Milke Judaa Ho Gaye

Milne Ke Armaan Siwaa ( Fizaa ) Ho Gaye

 

 

Khud To Woh Kuch Kehte Nahin Aaj Tak

Khud To Woh Kuch Kehte Nahin Aaj Tak

Kehti Hai Duniya Woh Khafa Ho Gaye

Woh Jo Galay Milke Judaa Ho Gaye

Milne Ke Armaan Siwaa ( Fizaa ) Ho Gaye

 

 

Poet : Kaifi Azmi

<<<<Previous Ghazal          This Album        END

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top