Seel-E-Khoon Paikar-E-Ashaar Mein Dhalta Hi Nahin

Gham Woh Laawa Hai Jo Seene Se Ubalta Hi Nahin

 

Jo Bhatakta Tha Kabhi Dhoop Ke Sehraa’on Mein

Ab Woh Saaya Meri Chaukhatt Se Nikalta Hi Nahin

 

Aainay Laakh Magar Aik Si Tasveeren Hain

Kis Ko Dekhon Main Koi Shakal Badalta Hi Nahin

 

Muztarib Rakhti Hai Paiham Mujhe Ehsaas Ki Aag

Sar Pe Woh Boojh Liye Hoon Ke Sanmbhalta Hi Nahin


 

Mujhse Munh Phairne Walay Meri Qeemat Pehchaan

Main Woh Sikka Hoon Jo Bazaar Mein Chalta Hi Nahin

 

Koi Tehreer Mittayen To Dhuwaan Uthhta Hai

Dil Woh Bheega Howa Kaaghaz Hai Ke Jalta Hi Nahin

 

Kaun Chheenega Meri Soch Ki Daulat * Rashid *

Jism Ka Bojh To Logon Se Sanmbhalta Hi Nahin

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top