“Kis Ka Dil Hoon Ke Do Aalam Mein Lagaya Hai Mujhe ”

( Mirza Ghalib )

                                                O

Khaak Ta Khaak Woh Pehchaan Na Paaya Hai Mujhe

Uss Ne Har Baar Hawaa’on Mein Urraya Hai Mujhe

 

Chaahta Hoon Ke Mujhe Torr De Ab Usska Sakoot

Jis Ki Awaaz Ne Aainaa Banaya Hai Mujhe

 

Ab Sanmbhalne Nahin Dega Kahin Tanhaai Ka Bojh

Chhorrne Woh Meri Dehleez Tak Aaya Hai Mujhe

 

Ab Girah Mein Nahin Khhone Ke Liye Kuch Baaqi

Zindagi Tu Ne Bhi Kis Morr Pe Paaya Hai Mujhe

 

Roshni Meri Andheron Se Ulajh Sakti Thi

Mera Dukh Ye Hai Ke Sooraj Ne Bujhaaya Hai Mujhe

 

Main Koi Gohar-E-Nayaab Nahin Hoon * Rashid *

Kya Samajh Ke Koi Bazaar Mein Laaya Hai Mujhe

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top