Ghar Chorr Ke Bhi Zindagi Hairaaniyun Mein Hai

Sheharon Ka Shor Dasht Ki Veeraaniyun Mein Hai

 

Tujhse Mila Tha Jo Kabhi Saahil Ki Aas Mein

Woh Shakhs Aaj Dard Ki Tughyaaniyun Mein Hai

 

Shauq-E-Safar Pe Baar Hai Saaye Ka Boojh Bhi

Abke Woh Rang Be-Saro-Samaaniyun Mein Hai

 

Dar Hai Ke Ye Bhi Waqt Ke Haathon Se Mitt Na Jaaye

Halki Si Jo Chamak Abhi Paishaaniyun Mein Hai


 


Lehron Mein Dhoondhta Hoon Main Khooye Howe Nageen

Chehron Ka Aks Behte Howe Paaniyun Mein Hai

 

Kitna Kaha Tha Uss Se Ke Daaman Samait Le

Ab Woh Bhi Mere Saath Pareshaaniyun Mein Hai

 

*Rashid * Koi Mila Na Yahan Shakal-Aashnaa

Har Shakhs Apni Zaat Ke Zindaaniyun Mein Hai

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top