Dil Ko Sehra Aankh Ko Pathhar Bana Kar Aaye Hain

Yun Laga Jab Tujh Ko Mitti Mein Chhupaa Kar Aaye Hain

 

Faasle Thay Darmiyaan Phir Bhi Ye Kaisa Rabt Tha

Usske Aansoo Meri Palkon Tak Bara-Bar Aaye Hain

 

Jis Ki Chaahat Ne Bhula Rakhe Thay Gham Haalaat Ke

Hum Dayaar-E-Ghair Mein Woh Shay Ganwaa Kar Aaye Hain

 

Har Andheray Mein Ussi Ne Di Sitaaron Ki Naveed

Woh Sadaa Hum Khaak Mein Jis Ko Dabaa Kar Aaye Hain

 

Kar Na Paaye Hum Kabhi Usski Duaa’on Ka Shumaar

Chaar Shammen Jis Ke Tadfeen Par Jalaa Kar Aaye Hain

 

Apni Ek Ek Saans Par Hai , Uss Ke Ehsaanon Ka Bojh

Aaj Jis Ki Khaak Par Hum Sar Jhukaa Kar Aaye Hain

 

Mohtarma Naani Ke Inteqaal Par…

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top