Hum Hi Ab Jashan-E-Safar Ke Liye Tayyar Nahin

Warna Raahon Ke Sitam Dil Pe Koi Baar Nahin

 

Chand Lamhon Mein Bikhar Jaayega Lehron Ka Fusun

Ye Talatum Hai Kisi Shookh Ki Raftaar Nahin

 

Meri Aankhon Ko Yun Takti Hai Shab-E-Gham Jaise

Mere Ashkon Ka Yahan Koi Khareedar Nahin



Laakh Gardaab Sahi Paar Utar Jaaonga!

Mere Haathon Mein Teray Haath Hain Patwaar Nahin

 

Ghar Ki Har Shamma Saja Di Hai Sar-E-Raahguzar

Koi Hum Jaisa Hawaa’on Ka Paristaar Nahin

 

Jis Ko Tehreer Kiya Hum Ne Lahoo Se * Rashid *

Uss Fasaane Hi Mein Apna Koi Kirdaar Nahin

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top