Dekh Kar Is Ghar Ki Veeraani Bikhar Jaayegi Shaam

Dil Ke Aangan Mein Agar Utri To Mar Jaayegi Shaam

 

Khatam Hai Hum Par Sahar Ki Roshni Ka Har Gumaan

Chorr Kar Hum Ko Andheron Mein Kidhar Jaayegi Shaam

 

Zard Rukhsaaron Pe Kirnon Ke Kuch Aise Zakham Hain

Apna Chehra Bhi Agar Dekhe To Dar Jaayegi Shaam

 

Door Tak Bikhre Howe Hain Zakham,Yaadein,Ashk, Khuwaab

Har Taraf Shammen Hi Shammen Hain Jidhar Jaayegi Shaam



Jheel Si Aankhon Mein Hai Posheeda Kirnon Ki Chamak

Usski Palkon Ko Agar Chhu Le Sanwar Jaayegi Shaam

 

Dhoondhte Reh Jaaoge Saahil Pe Qadmon Ke Nishaan

Raat Ke Gehre Samandar Mein Utar Jaayegi Shaam

 

 Aaj Bhi Tay Ho Na Paayin Faaslon Ki Sarhaden

Aaj Bhi Sarrkon Ke Jangal Mein Guzar Jaayegi Shaam

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top