Sakoon Mila Hai Magar Iztaraab Jaisa Hai

Teray Badan Ka Fusun Bhi Sharaab Jaisa Hai

 

Hanse Woh Laakh Magar Zabt-E-Gham Ki Tehreeren

Na Chhup Sakengi Ke Chehra Kitaab Jaisa Hai

 

Milega Paas Se Kuch Bhi Na Khaak-O-Khoon Ke Siwa

Palat Chalen Ke Ye Manzar Saraab Jaisa Hai


 

Na Koi Pairr Na Saaya Na Aahaton Ka Gumaan

Ye Justajoo Ka Safar Bhi Azaab Jaisa Hai

 

Woh Saamne Hai Magar Ussko Chhu Nahin Sakta

Main Poojta Hoon Woh Paikar Jo Khuwaab Jaisa Hai

 

Sulag Rahe Ho Yunhi Gham Ki Dhoop Se * Rashid *

Woh Haath Choom Ke Dekho Gulaab Jaisa Hai

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top