Mitt'ti Nahin Hai Shakal Kabhi Jis Ke Dheyaan Se

Nikla Hai Woh Haseen Abhi Apne Makaan Se

 

Mehfil Ka Rukh Badal Gaye Lafzon Ke Aaine

Chehron Ka Rang Urr Gaya Mere Bayaan Se

 

Kashti Mein Aaj Bhi Hai Khanak Rait Ki Nami

Mojen Lipat Gayin Thien Kabhi Baadbaan Se


 


Bahar Gali Mein Dhoop Ki Umeed Hai Fazool

Pani Tapak Raha Hai Abhi Saayebaan Se

 

Woh Khud Hi Roshni Ke Tajassus Mein Chal Parra

Ab Kya Karonga Toot Ke Main Aasmaan Se

 

Chaaha Hazaar Baar Samandar Ko Choom Loon

Dewaar-E-Tishnagi Na Hati Darmiyaan Se

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top