Rooh Mein Zakham Thay Ehsaas Bhi Pyaasa Nikla

Ghair Samjhe Thay Jisay Apna Hi Saaya Nikla

 

Woh Ghhuttan Hai Ke Koi Raasta Milta Hi Nahin

Main Teray Shehar Ki Galiyun Mein Kahan Aa Nikla

 

Raah Mein Ajnabi , Khalwat Mein Rag-E-Jaan Se Qareen

Teri Basti Mein Koi Aur Na Tujh Sa Nikla

 

Kitne Bhoole Howe Khuwaabon Ke Geher Haath Aaye

Main Teri Aankhon Mein Dooba To Kahan Jaa Nikla

Chand Kankar Ke Jinhen Ashk-E-Nadaamat Kahiye

Band Mutthhi Mein Teri Innke Siwa Kya Nikla

 

Mutmaa’in Thay Ke Mitta Dega Ussey Waqt Ka Haath

Ab Pareshaan Hain Ke Ye Rang To Gehra Nikla

 

Saadgi Ne Meri Jis But Ko Taraasha * Rashid *

Kya Sitam Hai Wohi Hum-Rang-E-Zamana Nikla

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top