Honton Ki Chaandni Na Tabassum Ka Raag Tha

Yaadon Ki Rehguzar Mein Andheron Ka Naag Tha

 

Koi Bhi Seh Saka Na Meray Dard Ka Ubaal

Jis Shakhs Se Milay Wohi Botal Ka Kaag Tha

 

Paa Kar Qareeb Lamas Ki Had Se Na Barrh Saka

Chehra Tha Uss Ka Phool Magar Jism Aag Tha


 

Be-Barg-O-Baar-E-Jaan Ke Jis Ko Gira Diya

Woh Aakhiri Darakht Chaman Ka Suhaag Tha

 

Woh Dhoop Ho Ke Chhaa’on Raha Mere Saath Saath

Jaise Mera Zameer Dafeene Ka Naag Tha

 

*Rashid * Barra Ajeeb Tha Toofaan Ka Khaatima

Saahil Pe Door Door Samandar Ka Jhaag Tha

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top