Har Chehre Par Khoon Ki Chaadar Sholon Ki Baarish Ghar Ghar

Sooni Aankhen Dekh Rahi Hain Jalte Shehar Ka Ye Manzar

 

Patta Bhi Khharrke To Dil Seenon Mein Khauf Se Phatt Jaayen

Kitni Cheekhon Ka Madfan Hai Sehma Howa Khaamosh Nagar

 

Jab Bhi Guzarta Hai Koi Aawaara Hawaa’on Ka Jhaunka

Tapti Tiin Ki Oonchi Chhat Par Bajne Lagte Hain Kankar

 

Chehre Ki Tehreer Ke Peeche Kya Gham Hai Ye Bhi Samjho

Main Koi Akhbaar Nahin Hoon Tum Rakh Do Jis Ko Parrh Kar

 

Peeche Reh Jaane Walon Par Kis Munh Se ILzaam Dharen

Hum Jis Ki Agli Saf Mein Thay Haar Gaya Hai Woh Lasshkar

 

Hum Hi Kuch Nadaan Thay Jaane Kitne Khuwaab Sajaa Baithe

Ussne Yunhi Dekh Liya Tha Chalte Chalte Aik Nazar

 

Koi Pathhar Phaink Ke Uss Mein Apna Aks Mitta Daalen

Jalti Rait Mein Khhu Jayegi Ye Naddi Aage Chal Kar

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top