Thak Gaya Hoon Kisi Aandhi Ka Pata De Koi

Bojh Hai Jism Ki Deewaar, Gira De Koi

 

Door Tak Barf Hai Ehsaas Ke Veeranon Mein

Phir Kisi Aag Mein Jalne Ki Saza De Koi

 

Qaid Phir Qaid Hai Sheesha Ho Ke Dast-E-Gul Ho

Main To Khushboo Hoon Bikharne Ki Dua De Koi

 

Waraq-E-Sang Se Tehreer Ubhaaron Kab Tak

Mere Haathon Ki Lakeeron Ko Mitta De Koi


 

Ab Hawa Aayi To Ye Raakh Bhi Le Jaayegi

Aatish-E-Sard Hoon Mitti Mein Dabba De Koi

 

Kya Mittenge Mere Andar Ke Andhere * Rashid *

Inn Sisakti Howi Shammon Ko Bujha De Koi

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top