Teray Wajood Pe Parchhaain Ka Gumaan Kaisa

Hai Mere Saamne Ye Dasht-E-Bekaraan Kaisa

 

Dafeenay Khuwaabon Ke Mitti Ke Mol Bhi Na Liye

Bicharr Ke Tujhse Tha Andeshaa-E-Ziyaan Kaisa

 

Bhattak Rahi Thien Ujaalon Ki Aas Mein Nazren

Chamak Raha Tha Andheron Mein Woh Makaan Kaisa

 

Na Haath Aa Saka Phir Waqt Ke Samandar Mein

Kisi Ke Qurb Ka Lamha Tha Be-Nishaan Kaisa


Tera Khayal Bhi Jangal Ki Aag Hai Shayad

Bikhar Gaya Meray Ehsaas Mein Dhuwaan Kaisa

 

Khulay Maqaam Pe Milne Se Log Darte Hain

Saron Pe Toot Parra Hai Ye Aasmaan Kaisa

 

Jo Barg Shaakh Se Toote Ussi Ka Maatam Ho

Woh Mujh Ko Saunmp Gaya Ranj-E-Raayegaan Kaisa

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top