To Kyun Na Main In Afsaanon Ko

Jo Usski Rehguzar Mein

Qadam Qadam Par Bikhre Howe Hain

Yunhi Khuwabeeda Chorr Kar

Khamoshi Se Wapis Chala Jaaon

Main Usski Pur-Sakoon Zindagi Mein

Phir Halchal Kyun Paida Karon

Mehroomi Agar Mera Muqaddar Hai

To Main Usski Parchhaayin

Usske Haseen Paikar Par Kyun Daalon

Mere Naghme Agar Faryad Ban Gaye Hain

To In Naghmon Se Main Uska Dil Kyun Dukhaa’on

Ab Shikayat Se Kya Haasil Hai

Aur Gila Karon To Kis Se

Ujrre Howe Dil Ke Khazaane Mein

Chand Duayen Reh Gayi Hain

Chalte Chalte Wohi Nazar Kiye Deta Hoon

 

 

Aur Kuch Dair Pukaaronga Chala Jaaonga

Aur Kuch Dair Pukaaronga Chala Jaaonga

 

Kya Kami Hai Jo Karogi Mera Nazrana Qabool

Chaahne Wale Bohat Chaah Ke Afsaane Bohat

Aik Hi Raat Sahi Garmi-E-Hangama-E-Ishq

Aik Hi Raat Mein Jal Marte Hain Parwaane Bohat

Yun To Ek Raat Mein Sau Tarah Ke Morr Aate Hain

Kaash Tumko Kabhi Tanhaai Ka Ehsaas Na Ho

Kaash Aisa Na Ho Ghheray Rahe Duniya Tumko

Aur Is Tarah Ke Jis Tarah Koi Paas Na Ho

Aaj Ki Raat Jo Meri Hi Tarah Tanha Hai

Aaj Ki Raat Jo Meri Hi Tarah Tanha Hai

Main Kisi Tarah Guzaaronga Chala Jaaonga

Main Kisi Tarah Guzaaronga Chala Jaaonga

Aur Kuch Dair Pukaaronga Chala Jaaonga

Aur Kuch Dair Pukaaronga Chala Jaaonga

Aur Kuch Dair Pukaaronga Chala Jaaonga

 

 

Poet : Kaifi Azmi

<<<<Previous Ghazal          This Album        Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top