Sheesha Ho Ke Moti Jaam Ke Dur

Sheesha Ho Ke Moti Jaam Ke Dur

Jo Toot Gaya So Toot Gaya

Jo Toot Gaya So Toot Gaya

Kab Ashkon Se Jurr Sakta Hai

Jo Toot Gaya So Chhoot Gaya

Jo Toot Gaya So Chhoot Gaya

Tum Na Haq Tukrre Chun Chun Kar

Daaman Mein Chupaaye Baithe Ho

Tum Na Haq Tukrre Chun Chun Kar

Daaman Mein Chupaaye Baithe Ho

Sheeshon Ka Maseeha Koi Nahin

Kyun Aas Lagaaye Baithe Ho

Kyun Aas Lagaaye Baithe Ho

Kyun Aas Lagaaye Baithe Ho

 

 

Shayad Ke Inhi Tukrron Mein Kahin

Woh Saaghar-E-Dil Hai Jis Mein Kabhi

Shayad Ke Inhi Tukrron Mein Kahin

Woh Saaghar-E-Dil Hai Jis Mein Kabhi

Sad-Naaz Se Utra Karti Thien

Sehba-E-Gham-E-Janaan Ki Pari

Phir Duniya Walon ne Tumse

Woh Saaghar Le Kar Torr Diya

Phir Duniya Walon ne Tumse

Woh Saaghar Le Kar Torr Diya

Jo Mai Thi Bahaa Di Matti Mein

Mehmaan Ka Shehpar Torr Diya

Ye Saaghar-O-Sheeshay Laal-O-Gohar

Saalim Ho To Qeemat Paate Hain

Ye Saaghar-O-Sheeshay Laal-O-Gohar

Saalim Ho To Izzat Paate Hain

Yun Tukrre Tukrre Hoon To Faqat

Chubhute Hain Lahoo Rulwaate Hain

Yun Tukrre Tukrre Hoon To Faqat

Chubhute Hain Lahoo Rulwaate Hain

Tum Na Haq Tukrre Chun Chun Kar

Daaman Mein Chupaaye Baithe Ho

Tum Na Haq Tukrre Chun Chun Kar

Daaman Mein Chupaaye Baithe Ho

Sheeshon Ka Maseeha Koi Nahin

Kyun Aas Lagaaye Baithe Ho

Kyun Aas Lagaaye Baithe Ho

Kyun Aas Lagaaye Baithe Ho

 

 

 

Poet : Faiz Ahmed Faiz

<<<Previous Ghazal    This Album    Next Ghazal>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top