Shaukhi Aur Masti

Husn Aur Nazakat

Ka Ye Dilkash Paikar

Mere Khayal Ka Rafiq

Aur Meri Aarzoo’on Ka Markaz Ban Gaya

Bas Ussi Ki Tamanna Mein

Mere Din Raat Guzarne Lage

Aur Woh Haseen Kafir

Mera Mud-Dawa Ban Kar Reh Gaya

Main Dil Hi Dil Mein Usski Pooja Karne Laga

Aur Andar Hi Andar Usske Firaaq Mein Ghulne Laga

Aise Mein Agar Kisi Ne Saath Diya

To Woh Mera Tasavvur Tha

Jo Har Dam Har Pal

Us Haseen O Masoom Chehre Ko Mere Saamne Rakhta

Aur Main Nihayat Muhabbat Aur Aqeedat Se

Unn Nasheeli Aankhon Ko Choom Leta

 

 

Jab Bhi Choom Leta Hoon

Unn Haseen Aankhon Ko

Jab Bhi Choom Leta Hoon

Unn Haseen Aankhon Ko

Sau Charaagh Andhere Mein

Jhilmilaane Lagte Hain

Jab Bhi Choom Leta Hoon

Unn Haseen Aankhon Ko

 

 

Raqs Karne Lagti Hain

Moorat-E-Ajanta Ki

Raqs Karne Lagti Hain

Moorat-E-Ajanta Ki

Muddaton Ke Lab-Basta

Ghaar Gaane Lagte Hain

Jab Bhi Choom Leta Hoon

Unn Haseen Aankhon Ko

 

 

Phool Kya Shagoofay Kya

Chaand Kya Sitaare Kya

Phool Kya Shagoofay Kya

Chaand Kya Sitaare Kya

Sab Raqeeb Qadmon Par

Sar Jhukaane Lagte Hain

Jab Bhi Choom Leta Hoon

Unn Haseen Aankhon Ko

 

 

Phool Khilne Lagte Hain

Ujrre Ujrre Gulshan Mein

Phool Khilne Lagte Hain

Ujrre Ujrre Gulshan Mein

Pyaasi Pyaasi Dharti Par

Abr Chhaane Lagte Hain

Jab Bhi Choom Leta Hoon

Unn Haseen Aankhon Ko

Sau Charaagh Andhere Mein

Jhilmilaane Lagte Hain

Jab Bhi Choom Leta Hoon

 

 

Poet : Kaifi Azmi

<<<<Previous Ghazal          This Album        Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top