Sitam Ye Hai Wohi Deta Raha Sadaa Mujh Ko

Woh Aik Shakhs Jo Pathhar Bana Gaya Mujh Ko

 

Thake Badan Ke Kinaaron Mein Qaid Hoon Warna

Na Rok Sakta Paharron Ka Silsila Mujh Ko

 

Woh “Main” Sahi Nazar Aaye Koi To Mujh Jaisa

Ghubaar-E-Waqt Kabhi Aaina Dikha Mujh Ko

 

Ghhiray Rahe Meray Itraaf Nit Naye Baadal

Faraib Deti Rahi Umar Bhar Hawa Mujh Ko


 

Tamaam Shehar Hi Khaamoshiyun Ka Maskan Tha

Ye Wehem Hai Koi Deta Raha Sadaa Mujh Ko

 

Bana Raha Hoon Har Ek Rukh Se Shaam Ka Manzar

Parra Hai Doobte Rangon Se Waasta Mujh Ko

 

Kahin Ye Ho Ke Bikhar Jaaon Teray Daaman Par

Main Khaak Hoon Tu Zara Dekh Ke Urra Mujh Ko

 

Phalaang Jaaonga * Rashid * Wajood Ki Deewar

Faseel-E-Jism Kabhi Degi Raasta Mujh Ko

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top