Pathhar Sulag Rahe Thay Koi Naqsh-E-Paa Na Tha

Hum Jis Taraf Chalay Thay Udhar Raasta Na Tha

 

Parchhaiyun Ke Shehar Ki Tanhaaiyaan Na Pooch

Apna Shareek-E-Gham Koi Apne Siwa Na Tha

 

Yun Dekhti Hai Gumshuda Lamhon Ke Morr Se

Uss Zindagi Se Jaise Koi Waasta Na Tha


 


Chehron Pe Jam Gayi Thien Khayalon Ki Uljhanen

Lafzon Ki Justaju Mein Koi Bolta Na Tha

 

Paton Ke Tootne Ki Sadaa Ghhut Ke Reh Gayi

Jangal Mein Door Door Hawa Ka Pata Na Tha

 

*Rashid * Kisay Sunaate Gali Mein Teri Ghazal

Uss Ke Makaan Ka Koi Dareecha Khula Na Tha

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top