Raahat-O-Dard Ka Mafhoom Judaa Rakhta Hoon

Shehar Ki Bherr Mein Shaamil Hoon Magar Tanhaa Hoon

 

Jaane Kis Shakal Mein Mil Jaaye Dafeenon Ka Suraagh

Raah Chalte Howe Kankar Bhi Uthha Leta Hoon

 

Log Paas Aate Hain Katraa Ke Nikal Jaate Hain

Kisi Girti Howi Dewaar Ka Main Saaya Hoon


 

Kisi Jaate Howe Mausam Ko Pukaaron Kaise

Ae Meray Abr-E-Gurezaan Main Abhi Sehraa Hoon

 

Jis Taraf Jaayega Tu Dhoop Hai Hangaamen Hain

Mujh Mein Khhu Ja Main Ghhani Raat Ka Sannaatta Hoon

 

Khoob Waqif Hoon Main Anjaam-E-Namu Se * Rashid *

Jab Koi Phool Bikharta Hai Laraz Jaata Hoon

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top