Khoon-E-Ehsaas Ko Mojoon Ki Rawaani Samjhe

Ashk-E-Gul Rang Thay Woh Tum Jinhen Paani Samjhe

 

Kaun Karta Hai Kharabon Mein Dafeenon Ki Talaash

Kis Ko Fursat Hai Jo Zakhmon Ke Ma’aani Samjhe

 

Kaise Mit Jaati Hai Aankhon Se Wafa Ki Tehreer

Aaj Urrte Howe Rangon Ki Zubaani Samjhe


 


Jab Bhi Dekha Hai Ussey Humne Naye Zakham Milay

Kaun Uss Shakhs Ki Tasveer Puraani Samjhe

 

Aanch Thi Apne Sulagte Howe Gham Ki * Rashid *

Log Jis Ko Hunar-E-Shola-Bayaani Samjhe

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top