Na Paas Aata Hai Woh Aur Na Door Jaata Hai

Ajab Tarah Se Meri Tishnagi Barrhata Hai

 

Ye Kaisi Aag Hai Jis Mein Koi Tapissh Na Dhuwaan

Ye Kaisa Rabt Hai Jo Faaslay Barrhata Hai

 

Talaash Hai Ussey Khooye Howe Ujaalon Ki

Jo Meri Raah Mein Aksar Diye Jalaata Hai

 

Samajh Chuka Hoon Main Usske Dukhon Ka Har Andaaz

Jo Baat Baat Pe Meri Hansi Urraata Hai

 

Jo Woh Nahin To Har Ek Shay Badal Gayi Aise

Ke Jaise Aashnaa Koi Nazar Churaata Hai

 

Wohi Hain Log Magar Ajnabi Se Lagte Hain

Wohi Makaan Hai Magar Kaatne Ko Aata Hai

 

Chhupa Saka Na Mah-O-Saal Ka Ghubaar Ussey

Woh Aik Lamha Jo Har Lamha Yaad Aata Hai

 

Main Parrh Saka Na Kabhi Jis Ke Jism Ki Tehreer

Hai Uss Ka Aks Jo Sheron Mein Jhilmilaata Hai

 

Hai Ek Talaash Jo Rakhti Hai Muztarib * Rashid *

Woh Aik Saaya Hai Jo Darbadar Phiraata Hai

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top