Bikharta Aise Ke Main Bhi Simmatt Na Paata Tha

Qareeb Aa Ke Woh Khushboo Sa Phail Jaata Tha

 

Ussey Qabool Thi Jaise Meri Har Aik Laghzish

Meri Khataa’on Pe Woh Aise Muskuraata Tha

 

Sapurdagi Thi Kuch Aisi Ke Pyaas Bujh Na Sakay

Guraiz Aisa Ke Jo Hoslay Barrhata Tha

 

Shaguftagi Se Haseen Hoti Thi Thakan Usski

Woh Mere Saath Kabhi Door Tak Jo Aata Tha

 

Meray Wajood Mein Ab Tak Hai Roshni Usski

Har Aik Lamhe Ko Jo Aainaa Banaata Tha

 

Sadaayen Deta Hai Khaali Makaan Ka Har Gosha

Yahin Kahin Pe Tera Aks Jagmagaata Tha

 

Nahin Hain Door Tak Ab Usski Chaahaton Ke Nishaan

Jo Shakhs Mere Liye Sab Se Rooth Jaata Tha

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top