Jo Dukh Mile Hain Unnki Jazaa Maangte Raho

Bichhrre Na Koi Shakhs Dua Maangte Raho

 

Ghhairay Na Jaane Kab Kisay Tanhai Ka Azaab

Auron Ke Saath Apna Bhala Maangte Raho

 

Barsega Aaj Toot Ke Khaamoshiyun Ka Qeher

Har Ek Qadam Pe Usski Sada Maangte Raho

 

Is Khauf Se Ke Duniya Ka Mausam Ajeeb Hai

Uski Gali Ki Aab-O-Hawa Maagte Raho


 

Uss Daairay Se Bachne Ki Koshish Fazool Hai

Jo Kuch Naseeb Mein Hai Likha Maangte Raho

 

Is Shehar Ki Hadon Se Guzarti Hai Raat Bhi

Is Shehar Se Charaagh-E-Wafa Maangte Raho

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top