Dailymotion Link

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasana Sunata Raha... by iftee555

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana
Sunata Raha Dam Nikalte Nikalte
Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana
Sunata Raha Dam Nikalte Nikalte
Magar Zikr Sham E Alam Jab Ke Aaya
Magar Zikr Sham E Alam Jab Ke Aaya
Charaagh E Sahar Bujh Gaya Jalte Jalte
Mareez E Muhabbat


Iraada Tha Tark E Muhabat Ka Lekin
Faraib E Tabassum Mein Phir Aa Gaye Hum
Iraada Tha Tark E Muhabat Ka Lekin
Faraib E Tabassum Mein Phir Aa Gaye Hum
Abhi Kha Ke Thokar Sanmbhalne Na Paaye
Ke Phir Khaai Thokar Sanmbhalte Sanmbhalte
Mareez E Muhabbat


Unhe Khat Mein Likha Ke Dil Muztarib Hai
Jawab Unnka Aaya Muhabbat Na Karte
Unhe Khat Mein Likha Ke Dil Muztarib Hai
Jawab Unnka Aaya Muhabbat Na Karte
Tumhe Dil Lagaane Ko Kisne Kaha Tha
Behel Jaayega Dil Behelte Behelte
Tumhe Dil Lagaane Ko Kisne Kaha Tha
Behel Jaayega Dil Behelte Behelte
Mareez E Muhabbat


Arrey Koi Waada Khilaafi Ki Hadd Hai
Hisaab Apne Dil Mein Laga Kar To Dekho
Arrey Koi Waada Khilaafi Ki Hadd Hai
Hisaab Apne Dil Mein Laga Kar To Dekho
Qayamat Ka Din Aa Gaya Rafta Rafta
Mulaqaat Ka Din Badalte Badalte
Qayamat Ka Din Aa Gaya Rafta Rafta
Mulaqaat Ka Din Badalte Badalte
Mareez E Muhabbat


Humein Apne Dil Ki To Parwaah Nahin Hai
Magar Dar Raha Hoon Yeh Kamsin Ki Zid Hai
Humein Apne Dil Ki To Parwaah Nahin Hai
Magar Dar Raha Hoon Yeh Kamsin Ki Zid Hai
Kahin Paa E Nazuk Mein Mooch Aa Na Jaye
Dil E Sakht Jaan Ko Masalte Masalte
Kahin Paa E Nazuk Mein Mooch Aa Na Jaye
Dil E Sakht Jaan Ko Masalte Masalte
Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana
Sunata Raha Dam Nikalte Nikalte
Mareez E Muhabbat


Poet : Ustad Qamar Jalalvi

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top