“Tuk Paa’on Ke Jhaanjhan Ki Jhankaar Sunaati Jaa ”

( Wali Dakkani ) ( Wali Muhammad Wali )

                                                O

Pehchaan Ke Apni Sab Imkaan Mittaati Ja

Tu Aik Paheli Hai Har Bhaid Chhupaati Jaa

 

Main Khud Hi Samajh Loonga Anjaam-E-Safar Kya Hai

Aghaaz-E-Safar Par Hi Shammon Ko Bujhaati Jaa

 

Qismat Mein Kahan Sab Ki Mehroomi Ki Daulat Bhi

Jo Khuwaab Na Hoon Pooray Woh Khuwaab Dikhaati Jaa

 

Shayad Kisi Rishte Ka Aghaaz Bana Daalon

Ehsaas Ki Har Uljhan Tu Mujh Se Chhupaati Jaa

 

Kab Sood-O-Ziyaan Jaane Ye Saada Dili Meri

Tu Hi Meri Chaahat Ka Kuch Mol Bataati Jaa

 

Palttay To Mujhe Jaane Kis Shakal Mein Tu Paaye

Ae Moj-E-Rawaan Mera Har Aks Mittaati Jaa

 

Is Uljhhay Ta’alluq  Ko Kya Keh Ke Pukaaronga

Be-Naam Hai Ye Qissa Unwaan Bataati Jaa

 

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top