Har Aik Marhala Naqsh-E-Ziyaan Hai Mere Liye

Tera Khuloos Bhi Ab Raayegaan Hai Mere Liye

 

Bichharr Ke Tujhse Karon Kya Main Aansoo’on Ka Shumaar

Ye Silsila To Kiraan-Ta-Kiraan  Hai Mere Liye

 

Ma’aal Ye Bhi Hai Shayad Teri Rafaqat Ka

Jo Ajnabi Si Ye Umar-E-Rawaan Hai Mere liye

 

Khareed Sakta Hai Koi Bhi Jis Ko Mere Siwa

Meri Hayat Woh Jins-E-Giraan Hai Mere Liye

 

Woh Roshni Hoon Main Bujhte Howe Charaaghon Ki

Har Aik Shaam Dhuwaan Hi Dhuwaan Hai Mere Liye

 

Ye Jurm Hai Ke Dikhaaya Hai Aainaa * Rashid *

Har Aik Haath Mein Sang-E-Giraan Hai Mere Liye

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top