Listen Below



Udhar Pyaasi Dharti Pe Badal Barse

Idhar Uss Sitamgar Ne Nigaahon Se

Sharab Chalkaani Shuru Ki

Masti Bhari Aankhon Se

Pyaar Ke Chashme Ubalne Lage

Aur Thakay Howe Badan Mein

Nayi Rooh Aa Gayi

 Uss Ke Surkh Labon Se

Tabassum Ki Kaliyaan Chatakne Lagin

Faasle Khatam Howe

Duaa’on Ko Unnka Muda’aa

Aur Aarzoo’on Ko Unki Manzil Mil Gayi

Do Tarrapte Howe Beqaraar Dil

Humawaaz Ho Kar Gungunaane Lage

 

 

Tu Khursheed Hai

Baadalon Mein Na Chhup

Tu Mahtab Hai

Jagmagana Na Chorr

 

Tu Shookhi Hai Shookhi

Riaayat Na Kar

Tu Bijli Hai Bijli

Jalaana Na Chorr

 

 

Abhi Ishq Ne

Haar Maani Nahin

Abhi Ishq Ko

Aazmaana Na Chorr

 

Lutta De Raah-E-Ishq Mein

Zindagi

Adhoora Wafa Ka

Fasaana Na Chorr

 

 

Poet : Kaifi Azmi

<<<<Previous Ghazal          This Album        Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top