Howi Na Aks-E-Rukh-E-Dard Se Nijaat Meri

Badal Chuki Hai Kayi Aainay Hayaat Meri

 

Khule Thay Hont Ke Woh Paas Se Guzar Bhi Gaya

Bikhar Ke Reh Gayi Moj-E-Hawa Mein Baat Meri

 

Sulag Rahi Hai Teray Jism Ki Mehek Har Soo

Badal Gayi Hai Teray Pairahan Se Raat Meri

 

Chalo Ghamon Ki Kitaaben Sapurd-E-Aab Karen

Woh Keh Raha Hai Kahani Hai Be-Sabaat Meri


 


Kabhi Sakoot Kabhi Qehqahe , Kabhi Aansoo

Badalti Rehti Hai Har Lamha Kaainaat Meri

 

Laraz Raha Tha Talatum Mein Zard Sa Patta

Likhi Howi Thi Samandar Pe Waardaat Meri

 

Na Dab Saki Kahin * Rashid * Meray Lahoo Ki Sadaa

Har Ek Hajoom Mein Taha Rahi Hai Zaat Meri

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top