Ye Shaam Bhi Kahan Howi

Ye Raat Kis Manzil Par Aa Kar Thehar Gayi

Qismat Phir Ussi Kooche Mein Le Aayi

Jahan Pehle Pehel Woh Haseen Jagmagata Howa Chehra

Shaam Ke Dhundhalkon Se Chaand Ban Kar Ubhra Tha

Yahi Thi Woh Gali

Jahan Maine Sab Kuch Khoya

Aur Sab Kuch Paa Liya Tha

Waqt Ki Gardish Aakhir

Yahan Phir Aik Baar Le Hi Aayi

Tasavvur Ne Yak-Lakht

Maazi Ki Haseen Waadiyun Mein Pohoncha Diya

Rang-O-Noor Ki Pohaar Barsaati Howi

Woh Saraapa Bahaar Bankar Aayi

Aur Dil Ko Gudgudaa Kar Rakh Diya

Husn-O-Shabaab Ki Woh Devi

Mere Hosh-O-Hawaas Par Bijli Ban Kar Giri

Ab Har Pal Wohi Chaand Sa Mukhhrra

Nazar Ke Saamne Hai

Aur Wohi Surkh Hont

Tasavvur Ki Aankhon Pe Chhaaye Howe Hain

Husn-O-Rang Ke Is Toofan Mein

Bas Aik Hi Awaaz Kaanon Mein Ras Ghoolti Thi

Ussi Ki Goonj Dil Ki Dharrkanon Mein Mehsoos Hoti Thi

Woh Sadaa Jo Madhur Aur Naram Hone Ki Bawajood

Mere Pooray Wajood Mein Aik Kasak

Aur Aik Tarrap Bhar Deti Thi

 

 

Do Din Ki Zindagi Mein Bhi

Kitne Khalal Parre

Dil Aur Bhi Tarrapta Hai

Pal Bhar Jo Kal-Parre

Dil Aur Bhi Tarrapta Hai

Pal Bhar Jo Kal-Parre

Do Din Ki Zindagi Mein Bhi

Kitne Khalal Parre

 

 

Khushiyaan Mili Hain Kaise Bas

Ab Ye Na Poochiye

Khushiyaan Mili Hain Kaise Bas

Ab Ye Na Poochiye

Jab Jab Hansi Nichorri Hai

Aansoo Nikal Parre

Jab Jab Hansi Nichorri Hai

Aansoo Nikal Parre

Do Din Ki Zindagi Mein Bhi

Kitne Khalal Parre

 

 

Aawargi-E-Shauq Ke Qurbaan Jaaiye

Aawargi-E-Shauq Ke Qurbaan Jaaiye

Kaante Jidhar Bohat Thay

Ussi Simt Chal Parre

Kaante Jidhar Bohat Thay

Ussi Simt Chal Parre

Do Din Ki Zindagi Mein Bhi

Kitne Khalal Parre

 

 

Poet : Kaifi Azmi

                         This Album        Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top