Dhoondhte Phirte Ho * Rashid * Jisay Bazaaron Mein

Woh Sadaa Qaid Hai Jalti Howi Deewaron Mein

 

Log Nikle Hain Jisay Dhoondhne Pathhar Le Kar

Chhup Gaya Hai Woh Meray Jism Ki Deewaron Mein

 

Parr Gaya Tha Kisi Badal Ka Mehekta Saaya

Der Tak Aag Bharrakti Rahi Kohsaaron Mein


 


Teri Aankhon Se Gham-E-Dil Ki Woh Qeemat Paayi

Hum Bhi Shaamil Howe Khud Apne Khareedaaron Mein

 

Koi Uss Shakhs Se Waaqif Hi Nahin Mere Siwa

Tazkiray Jis Ke Howa Karte Hain Akhbaaron Mein

 

Tishnagi Ne Meri Ye Seher Kiya Hai * Rashid *

Phool Mehke Hain Sulagte Howe Rukhsaaron Mein

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top