Pathhar Na Koi Aaye Ye Rasam Utthha Di Hai

Har Morr Pe Sheeshay Ki Deewaar Bana Di Hai

 

Kis Rang Mein Ubhri Hai Ehsaas Ki Veerani

Jo Shakal Nazar Aayi Tasveer Bana Di Hai

 

Chehre Thay Sabhi Dhundhle Mayoosi Se Ghabra Kar

Kuch Bhi Na Nazar Aaye Aankhon Ko Dua Di Hai

 

Jo Waqt Ke Sehra Mein Uss Ne Kabhi Saunmpi Thi

Woh Khaak Bhi Ab Hum Ne Daaman Se Urra Di Hai


 

Ronay Ko Na Paaoge Sokhay Howe Patte Bhi

Baarish Ne Khizaan Ki Har Tehreer Mitta Di Hai

 

Har Jism Hai Be-Saaya Har Aankh Hai Be-Chehra

Kis Hashar Ke Aalam Mein Jeene Ki Saza Di Hai

 

Mehfooz Rahen Yunhi Kaaghaz Ke Badan * Rashid *

Ghar Se Na Koi Nikle Toofaan Ki Munaadi Hai

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top