Sakoot-E-Dasht Ko Woh Maujza Numaai De

Teri Sadaa Mujhe Har Morr Par Sunaai De

 

 Bata Sakega Wohi Umar-E-Gumshuda Ka Suraagh

Woh Aik Shakhs Jo Is Bherr Mein Dikhaai De

 

Kitaab-E-Dard Pe Phailaa Mere Lahoo Ki Chamak

Haroof-E-Zeest Hain Be-Rang Roshnaai De

 

Rah-E-Fanaa Mein Issey Naqsh-E-Jaawidaan Kahiye

Woh Aik Lamha Jo Ehsaas-E-Aashnaai De

 

Laraz Rahi Hain Hawa Se Badan Ki  Deewaren

Na Gir Parre Ye Imaarat, Mujhe Rihaai De

 

Hamare Ehd Ke Sar Par Dhuwen Ki Chaadar Hai

Taras Rahe Hain Kabhi Aasmaan Dikhai De

 

Samaitt Len Abhi Auraaq-E-Zindagi * Rashid *

Magar Woh Harf-E-Tamanna Kahin Dikhaai De

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top