Shikasta Chhat Na Sahi Aasmaan Rehne De

Karra Hai Waqt Koi Saaibaan Rehne De

 

Kuch Aur Tang Na Ho Jaaye Jangalon Ka Hisaar

Faseel-E-Shehar Abhi Darmiyaan Rehne De

 

Qareeb-E-Shehar Pohonch Kar Ghubaar-E-Raah Na Jhhaarr

Thake Badan Pe Safar Ke Nishaan Rehne De

 

Nikal Parray Hain Safar Par To Sochna Kaisa

Ye Raat hai ke Dhuwen Ki Chattaan Rehne De

 

Na Chheen Mujhse Mere Roz-O-Shab Ke Hangaame

Main Jee Raha Hoon Mujhe Ye Gumaan Renhe De

 

Bharrak Utthhe Na Samandar Ki Tishnagi * Rashid *

Mera Lahoo Bhi Sar-E-Baadbaan Rehne De

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  Next Page>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top