Lekin Kahin Aisa To Nahin

Ke Ye Mera Khayal Hi Khayal Ho

Aur Usne Mere Wajood Ko

Apne Dil-O-Damagh Se Nikal Hi Diya Ho

Woh Kisi Aur Ki Ho Gayi Ho

Aah Na Saba Uska Pata Deti Hai

Na Bu-E-Gul Uska Paighaam

Aaj Fizaa Itni Khamosh Kyun Hai

Aaj Hawa Itni Udaas Kyun Hai

Kya Woh Waqayi Mere Liye Ajnabi Ho Gayi

Kya Woh Sach-Much Mujhe Bhool Gayi

Agar Aisa Hai To Phir Mujhe Yahan Laa Kar

Qismat Ne Hum Donon Ko Barra Sitam Kiya

Afsoos Mujhse Ye Kaisi Bhool Ho Gayi

Ke Main Is Basti Mein Chala Aaya

 

 

Laee Phir Ek Laghzish-E-Mastana

Tere Shehar Mein

Laee Phir Ek Laghzish-E-Mastana

Tere Shehar Mein

Phir Banengi Masjiden Maikhaana

Tere Shehar Mein

Phir Banengi Masjiden Maikhaana

Tere Shehar Mein

Laee Phir Ek Laghzish-E-Mastana

Tere Shehar Mein

 

 

Aaj Phir Tootengi

Tere Ghar Ki Nazuk Khirrkiyan

Aaj Phir Tootengi

Tere Ghar Ki Nazuk Khirrkiyan

Aaj Phir Dekha Gaya Deewana

Tere Shehar Mein

Aaj Phir Dekha Gaya Deewana

Tere Shehar Mein

 

 

Jurm Hai Teri Gali Se

Sar Jhuka Kar Lautna

Jurm Hai Teri Gali Se

Sar Jhuka Kar Lautna

Kufar Hai Pathraao Se Ghabraana

Tere Shehar Mein

Kufar Hai Pathraao Se Ghabraana

Tere Shehar Mein

 

 

Shah-Naame Likhe Hain

Khandraat Ki Har Entt Par

Shah-Naame Likhe Hain

Khandraat Ki Har Entt Par

Har Jagah Hai Dafan Ek Afsaana

Tere Shehar Mein

Har Jagah Hai Dafan Ek Afsaana

Tere Shehar Mein

 

Poet : Kaifi Azmi

<<<<Previous Ghazal          This Album        Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top