Mehroomiyun Ki Dhool Se Har Naqsh Hai Dhundhla Tera

Main Ne Kabhi Ae Zindagi Dekha Nahin Chehra Tera

 

Meray Palatt Jaane Mein Hai Teri Khamoshi Ka Bharam

Waaqif Hoon Main Is Morr Par Kya Faisla Hoga Tera

 

Teray Liye Asaan Sahi Soorat Badalne Ka Hunar

Lekin Woh Pathhar Ban Gaya Jo Kal Tha Aaina Tera

 

Shayad Na Poora Kar Saken Gum-Gashta Lamhon Ka Hisaab

Jo Ashk Hain Daulat Meri Jo Dukh Hain Sarmaaya Tera

 

Teri Talab Ki Raah Mein Dekhe Hain Duniya Ke Woh Rang

Dhoka Na De Paayega Ab Ye Paikar-E-Saada Tera

 

Tu Bhi Kabhi Mehsoos Kar Kya Hai Bikharne Ki Kasak

Ek Roz Yun Baazi Sajay Patthar Meray Sheesha Tera

 

 

Poet : Mumtaz Rashid

<<<Previous Page                  End

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top