Kathin Hai Raahguzar

Thorri Door Saath Chalo

Kathin Hai Raahguzar

Thorri Door Saath Chalo

Bohat Karra Hai Safar

Thorri Door Saath Chalo

Kathin Hai Raahguzar

Thorri Door…

Saath Chalo…

 

 

Tamaam Umar Kahan Koi

Saath Deta Hai

Tamaam Umar Kahan Koi

Saath Deta Hai

Yeh Jaanta Hoon Magar

Thorri Door Saath Chalo

Yeh Jaanta Hoon Magar

Thorri Door Saath Chalo

Kathin Hai Raahguzar

Thorri Door…

Saath Chalo…

 

 

Nashe Mein Choor Hoon Main Bhi

Tumhe Bhi Hosh Nahin

Nashe Mein Choor Hoon Main Bhi

Tumhe Bhi Hosh Nahin

Barra Maza Ho Agar

Thorri Door Saath Chalo

Barra Maza Ho Agar

Thorri Door Saath Chalo

Kathin Hai Raahguzar

Thorri Door…

Saath Chalo…

 

 

Yeh Aik Shab Ki Mulaqaat

Bhi Ghaneemat Hai

Yeh Aik Shab Ki Mulaqaat

Bhi Ghaneemat Hai

Kisse Hai Kal Ki Khabar

Thorri Door Saath Chalo

Kisse Hai Kal Ki Khabar

Thorri Door Saath Chalo

Kathin Hai Raahguzar

Thorri Door…

Saath Chalo…

 

 

Tawaaf E Manzil E Janan

Humen Bhi Karna Hai

Tawaaf E Manzil E Janan

Humen Bhi Karna Hai

* Faraz * Tum Bhi Agar

Thorri Door Saath Chalo

* Faraz * Tum Bhi Agar

Thorri Door Saath Chalo

Bohat Karra Hai Safar

Thorri Door Saath Chalo

Kathin Hai Raahguzar

Kathin Hai Raahguzar

Kathin Hai Raahguzar

Thorri Door…

Saath Chalo…

 

Poet : Ahmed Faraz


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top