Jabse Bulbul Tune Do Tinke Liye

Jabse Bulbul Tune Do Tinke Liye

Toot’ti Hain Bijliyaan Innke Liye

Jabse Bulbul Tune Do Tinke Liye

 

 

Kaun Veerane Mein Dekhega Bahaar

Kaun Veerane Mein Dekhega Bahaar

Kaun Veerane Mein Dekhega Bahaar

Phool Jangal Mein Khilay Kinke Liye

Jabse Bulbul Tune Do Tinke Liye

 

 

Saari Duniya Ke Hain Woh Mere Siwa

Saari Duniya Ke Hain Woh Mere Siwa

Saari Duniya Ke Hain Woh Mere Siwa

Maine Duniya Chorr Di Jinke Liye

Jabse Bulbul Tune Do Tinke Liye

 

 

Wasl Ka Din Aur Itna Mukhtasar

Wasl Ka Din Aur Itna Mukhtasar

Wasl Ka Din Aur Itna Mukhtasar

Din Gine Jaate Thay Jis Din Ke Liye

Jabse Bulbul Tune Do Tinke Liye

 

 

Baaghbaan Kaliyaan Ho Halke Rang Ki

Baaghbaan Kaliyaan Ho Halke Rang Ki

Baaghbaan Kaliyaan Ho Halke Rang Ki

Bhejni Hain Aik Kamsin Ke Liye

Jabse Bulbul Tune Do Tinke Liye

Toot’ti Hain Bijliyaan Innke Liye

Jabse Bulbul Tune Do Tinke Liye

 

 

Poet : Ameer Meenai


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top