Haadse Kya Kya Tumhari

Berukhi Se Ho Gaye

Haadse Kya Kya Tumhari

Berukhi Se Ho Gaye

Saari Duniya Ke Liye

Hum Ajnabi Se Ho Gaye

Haadse Kya Kya Tumhari

Berukhi Se Ho Gaye

 

 

Kuch Tumhare Gaiso’on Ki

Barhami Ne Kar Diye

Kuch Tumhare Gaiso’on Ki

Barhami Ne Kar Diye

Kuch Andhere Mere Ghar Mein

Roshni Se Ho Gaye

Haadse Kya Kya Tumhari

Berukhi Se Ho Gaye

 

 

Gardish-E-Dauraan Zamane Ki Nazar

Aankhon Ki Neend

Gardish-E-Dauraan Zamane Ki Nazar

Aankhon Ki Neend

Kitne Dushman Aik

Rasm-E-Dosti Se Ho Gaye

Haadse Kya Kya Tumhari

Berukhi Se Ho Gaye

 

Banda Parwar Khul Gaya Hai

Aastanon Ka Bharam

Banda Parwar Khul Gaya Hai

Aastanon Ka Bharam

Hum Aseer-E-Daam-E-Gul

Apni Khushi Se Ho Gaye

Haadse Kya Kya Tumhari

Berukhi Se Ho Gaye

 

 

Har Qadam * Saghar * Nazar

Aane Lagi Hain Manzilen

Har Qadam * Saghar * Nazar

Aane Lagi Hain Manzilen

Marhale Tay Meri Kuch

Awaargi Se Ho Gaye

Haadse Kya Kya Tumhari

Berukhi Se Ho Gaye

Saari Duniya Ke Liye

Hum Ajnabi Se Ho Gaye

Haadse Kya Kya Tumhari

Berukhi Se Ho Gaye

 

 

Poet : Saghar Siddiqui


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top