Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

Hans Parri Raat

Mehekte Howe Aanchal Ke Tale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

 

 

Yun Tamannayen Chamak

Utthti Hain Dil Mein Jaise

Yun Tamannayen Chamak

Utthti Hain Dil Mein Jaise

Chehra-E-Waqt Pe Reh Reh

Ke Koi Haath Malay

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

 

 

Bach Ke Taaron Ki Nigaahon Se

Gulon Se Chhup Kar

Bach Ke Taaron Ki Nigaahon Se

Gulon Se Chhup Kar

Do Nigaahon Ki Mulaqaat Howi

Raat Dhale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

 

 

Rang-O-Khushboo Se Chalakne

Laga Maikhaana-E-Dil

Rang-O-Khushboo Se Chalakne

Laga Maikhaana-E-Dil

Saaqiya Jaam Chale

Jaam Chale Jaam Chale

Saaqiya Jaam Chale

Jaam Chale Jaam Chale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

 

 

Aaj * Darshan * Naye Andaaz Se

Hai Garm-E-Nawa

Aaj * Darshan * Naye Andaaz Se

Hai Garm-E-Nawa

Usski Awaaz Se Naghmon Ke

Naye Deep Jale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

Hans Parri Raat

Mehekte Howe Aanchal Ke Tale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

Gungunati Hai Hawa

Phool Khile Deep Jale

 

 

Poet : Darshan Singh


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top