Tohfa Ye Gham Ka Mere Naam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Tohfa Ye Gham Ka Mere Naam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Ek Bewafa Ne Daulat Ki Khaatir

Ek Bewafa Ne Daulat Ki Khaatir

Meri Wafa Ko Nelaam Kar Diya

Tohfa Ye Gham Ka Mere Naam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

 

 

Khaaya Hai Dhoka Dil Ko Laga Ke

Loota Hai Ussne Mujhe Apna Bana Ke

Phir Aankh Bheegi Phir Dard Jaaga

Tarrpaye Mujhko Woh Phir Yaad Aa Ke

Ye Kya Tamasha Sar-E-Aam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Ye Kya Tamasha Sar-E-Aam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

 

 

Paa Ke Ussey Yun Khhona Parrega

Ruswa Muhabbat Mein Hona Parrega

Ek Pal Khushi Ki Kya Ye Saza Hai

Har Aik Pal Mujhko Rona Parrega

Aghaaz Hi Mein Anjaam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Aghaaz Hi Mein Anjaam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

 

 

Usski Nazar Mein Daulat Hai Sab Kuch

Jhooti Zamane Ki Shohrat Hai Sab Kuch

Ussne Kiya Hai Chaahat Ka Sauda

Meri Nazar Mein To Chaahat Hai Sab Kuch

Ussne To Mujhko Badnaam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Ussne To Mujhko Badnaam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Ek Bewafa Ne Daulat Ki Khaatir

Ek Bewafa Ne Daulat Ki Khaatir

Meri Wafa Ko Nelaam Kar Diya

Tohfa Ye Gham Ka Mere Naam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

Karna Na Tha Jo Woh Kaam Kar Diya

 

 

Poet : Faaiz Anwar


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top