Kabhi Neki Bhi Usske Jee Mein

Gar Aa Jaaye Hai Mujhse

Kabhi Neki Bhi Usske Jee Mein

Gar Aa Jaaye Hai Mujhse

Jafayen Kar Ke Apni Yaad

Sharma Jaaye Hai Mujhse

Kabhi Neki Bhi

 

 

Udhar Woh Badgumaani Hai

Idhar Woh Naa-Tawaani

Udhar Woh Badgumaani Hai

Idhar Woh Naa-Tawaani

Na Poocha Jaaye Hai Uss Se

Na Bola Jaaye Hai Mujhse

Kabhi Neki Bhi Uske Jee Mein

 

 

Sanmbhalne De Mujhe Ae

Na-Umeedi Kya Qayamat Hai

Sanmbhalne De Mujhe Ae

Na-Umeedi Kya Qayamat Hai

Ke Daman-E-Khayal-Yaar

Choota Jaaye Hai Mujhse

Kabhi Neki Bhi

 

 

Qayamat Hai Ke Howay

Muddai Ka Hamsafar * Ghalib *

Qayamat Hai Ke Howay

Muddai Ka Hamsafar * Ghalib *

Woh Kaafir Jo Khuda Ko Bhi Na

Saunpaa Jaaye Hai Mujhse

Kabhi Neki Bhi Usske Jee Mein

Gar Aa Jaaye Hai Mujhse

Kabhi Neki Bhi Usske Jee Mein

Gar Aa Jaaye Hai Mujhse

Kabhi Neki

 

Poet : Mirza Ghalib ( Asad Ullah Khan Ghalib )


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top