Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

Is Dil Ki Baat Maan Kar

Is Dil Ki Baat Maan Kar

Mushkil Mein Aa Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

 

 

Kaisi Talab Thi Le Gayi

Iss Zindagi Ko Loot Kar

Pal Mein Bikhar Ke Reh Gaya

Har Khuwaab Mera Toot Kar

Jo Kuch Bhi Mere Paas Tha

Jo Kuch Bhi Mere Paas Tha

Sab Kuch Lutaa Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

 

 

Woh Door Is Qadar Howi

Chhu Na Saki Nazar Ussey

Is Dil Pe Kya Guzar Gayi

Kuch Bhi Nahin Khabar Ussey

Kisko Bataon Dosto

Kisko Bataon Dosto

Dhoka Jo Kha Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

 

 

Fitrat Mein Jiski Ho Daghaa

Kaise Nibhaaye Pyaar Woh

ILzaam Doon Main Kyun Ussey

Badnaam Ho Ga Yaar Woh

Ussne Bhula Diya Magar

Ussne Bhula Diya Magar

Waada Nibha Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

Is Dil Ki Baat Maan Kar

Is Dil Ki Baat Maan Kar

Mushkil Mein Aa Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

Duniya Hanse Na Is Liye

Aansoo Chhupa Gaya Hoon Main

 

 

Poet : Faaiz Anwar


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top