Yaar Ko Raghbat E Aghyaar Na Hone Paaye

Yaar Ko Raghbat E Aghyaar Na Hone Paaye

Gul-E-Tar Ko Hawas-E-Khaar Na Hone Paaye

Yaar Ko Raghbat E Aghyaar Na Hone Paaye

 

 

Baagh Ki Sair Ko Jaate To Ho Par Yaad Rahe

Baagh Ki Sair Ko Jaate To Ho Par Yaad Rahe

Sabza Begaana Hai Do-Chaar Na Hone Paaye

Gul-E-Tar Ko Hawas-E-Khaar Na Hone Paaye

Yaar Ko Raghbat E Aghyaar Na Hone Paaye

 

 

Jama Kar Lijiye Ghamzon Ko Magar Khoobi-E-Bazm

Jama Kar Lijiye Ghamzon Ko Magar Khoobi-E-Bazm

Bas Wahin Tak Hai Ke Bazaar Na Hone Paaye

Gul-E-Tar Ko Hawas-E-Khaar Na Hone Paaye

Yaar Ko Raghbat E Aghyaar Na Hone Paaye

 

 

Aap Jaate To Hain Uss Bazm Mein Lekin * Shibli *

Aap Jaate To Hain Uss Bazm Mein Lekin * Shibli *

Haal-E-Dil Dekhiye Izhaar Na Hone Paaye

Gul-E-Tar Ko Hawas-E-Khaar Na Hone Paaye

Yaar Ko Raghbat E Aghyaar Na Hone Paaye

Gul-E-Tar Ko Hawas-E-Khaar Na Hone Paaye

Yaar Ko Raghbat E Aghyaar Na Hone Paaye

 

 

Poet : Shibli Nomani


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top