Phir Se Mausam Baharon Ka Aane Ko Hai

Phir Se Rang E Zamana Badal Jayega

Phir Se Mausam Baharon Ka Aane Ko Hai

Phir Se Rang E Zamana Badal Jayega

Abki Bazm E Charaghaan Sajayenge Hum

Yeh Bhi Armaan Dil Ka Nikal Jayega

 

 

Aap Kar Den Jo Mujh Par Nigaah E Karam

Meri Ulfat Ka Reh Jayega Kuch Bharam

Aap Kar Den Jo Mujh Par Nigaah E Karam

Meri Ulfat Ka Reh Jayega Kuch Bharam

Yun Fasana To Mera Rahega Wohi

Sirf Unwaan Uska Badal Jayega

 

 

Pheeki Pheeki Si Kyun Shaam E Maikhana Hai

Lutf E Saaqi Bhi Kam Khaali Paimaana Hai

Pheeki Pheeki Si Kyun Shaam E Maikhana Hai

Lutf E Saaqi Bhi Kam Khaali Paimaana Hai

Apni Nazaron Hi Se Kuch Pila Dijiye

Rang Mehfil Ka Khud Hi Badal Jayega

 

 

Mere Mitne Ka Unko Zara Gham Nahin

Zulf Bhi Unnki Ae Dost Barham Nahin

Mere Mitne Ka Unko Zara Gham Nahin

Zulf Bhi Unnki Ae Dost Barham Nahin

Apne Hone Na Hone Se Hota Hai Kya

Kaam Duniya Ka Yun Hi To Chal Jayega

 

 

Aap Ne Dil Jo * Zahid * Ka Torra To Kya

Aap Ne Uski Duniya Ko Chorra To Kya

Aap Ne Dil Jo * Zahid * Ka Torra To Kya

Aap Ne Uski Duniya Ko Chorra To Kya

Aap Itne To Aakhir Pareshaan Na Hoon

Woh Sanmbhalte Sanmbhalte Sanmbhal Jayega

Phir Se Mausam Baharon Ka Aane Ko Hai

Phir Se Rang E Zamana Badal Jayega

Abki Bazm E Charaghaan Sajayenge Hum

Yeh Bhi Armaan Dil Ka Nikal Jayega

 

 

Poet : Zahid


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top