Woh To Khushboo Hai

Hawa’on Mein Bikhar Jaayega

Woh To Khushboo Hai

Hawa’on Mein Bikhar Jaayega

Mas’ala Phool Ka Hai

Phool Kidhar Jaayega

Woh To Khushboo Hai

Hawa’on Mein Bikhar Jaayega

 

 

Hum To Samjhe Thay Ke

Ek Zakham Hai Bhar Jaayega

Hum To Samjhe Thay Ke

Ek Zakham Hai Bhar Jaayega

Kya Khabar Thi

Ke Rag-E-Jaan Mein Utar Jaayega

Woh To Khushboo Hai

Hawa’on Mein Bikhar Jaayega

 

 

Woh Hawa’on Ki Tarah

Khaana-Ba-Jaan Phirta Hai

Woh Hawa’on Ki Tarah

Khaana-Ba-Jaan Phirta Hai

Aik Jhoonka Hai

Jo Aayega Guzar Jaayega

Woh To Khushboo Hai

Hawa’on Mein Bikhar Jaayega

 

 

Woh Jab Aayega To Phir

Usski Rifaqat Ke Liye

Woh Jab Aayega To Phir

Usski Rifaqat Ke Liye

Mausam-E-Gul Mere Aangan Mein

Thehar Jaayega

Woh To Khushboo Hai

Hawa’on Mein Bikhar Jaayega

 

 

Aakhirash Woh Bhi Kahin

Rait Pe Bethi Hogi

Aakhirash Woh Bhi Kahin

Rait Pe Bethi Hogi

Tera Ye Pyaar Bhi Darya Hai

Utar Jaayega

Woh To Khushboo Hai

Hawa’on Mein Bikhar Jaayega

Mas’ala Phool Ka Hai

Phool Kidhar Jaayega

Woh To Khushboo Hai

Hawa’on Mein Bikhar Jaayega

 

 

Poet : Parveen Shakir


<<<<Previous Ghazal   This Album   END

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top