Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par

Ghair Se Ghaafil Hoon Main

Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par

Ghair Se Ghaafil Hoon Main

Haaye Kya Achhi Kahi

Zaalim Hoon Main Jaahil Hoon Main

Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par

Ghair Se Ghaafil Hoon Main

 

 

Main Jabhi Tak Tha Ke Teri

Jalwa-Pairaai Na Thi

Main Jabhi Tak Tha Ke Teri

Jalwa-Pairaai Na Thi

Jo Nomood-E-Haq Se Mitt Jaata Hai

Woh Baatil Hoon Main

Jo Nomood-E-Haq Se Mitt Jaata Hai

Woh Baatil Hoon Main

Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par

Ghair Se Ghaafil Hoon Main

 

 

 

Bazm-E-Hasti Apni Aaraaish Pe

Tu Naazaan Na Ho

Bazm-E-Hasti Apni Aaraaish Pe

Tu Naazaan Na Ho

Tu To Ek Tasveer Hai Mehfil Ki

Aur Mehfil Hoon Main

Tu To Ek Tasveer Hai Mehfil Ki

Aur Mehfil Hoon Main

Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par

Ghair Se Ghaafil Hoon Main

 

 

Dhoondhta Phirta Hoon Ae * Iqbal *

Apne Aap Ko

Dhoondhta Phirta Hoon Ae * Iqbal *

Apne Aap Ko

Aap Hi Goya Musafir

Aap Hi Manzil Hoon Main

Aap Hi Goya Musafir

Aap Hi Manzil Hoon Main

Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par

Ghair Se Ghaafil Hoon Main

 

 

Poet : Allama Iqbal


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top