Dard Aankhon Se

Tapakne Laga Paani Banke

Dard Aankhon Se

Tapakne Laga Paani Banke

Zindagi Reh Gayi

Bas Aik Kahani Banke

Dard Aankhon Se

Tapakne Laga Paani Ban Ke

 

 

Main Muhabbat Ke

Samandar Mein Hoon Tinke Ki Tarah

Main Muhabbat Ke

Samandar Mein Hoon Tinke Ki Tarah

Tum Bahaa Lo Mujhe

Maujoon Ki Rawaani Banke

Tum Bahaa Lo Mujhe

Maujoon Ki Rawaani Banke

Zindagi Reh Gayi

Bas Aik Kahani Banke

Dard Aankhon Se

Tapakne Laga Paani Ban Ke

 

 

Ussko Roothe Howe

Muddat Howi Lekin Ab Bhi

Ussko Roothe Howe

Muddat Howi Lekin Ab Bhi

Dil Mein Chubhti Hai

Koi Cheez Nishaani Banke

Dil Mein Chubhti Hai

Koi Cheez Nishaani Banke

Zindagi Reh Gayi

Bas Aik Kahani Banke

Dard Aankhon Se

Tapakne Laga Paani Ban Ke

 

 

Karwaten Lene Lage

Zakham-E-Jigar Chupke Se

Karwaten Lene Lage

Zakham-E-Jigar Chupke Se

Aaj Kuch Log Milay

Yaad Puraani Banke

Aaj Kuch Log Milay

Yaad Puraani Banke

Zindagi Reh Gayi

Bas Aik Kahani Banke

Dard Aankhon Se

Tapakne Laga Paani Ban Ke

 

 

Poet : Faaiz Anwar


<<<<Previous Ghazal   This Album   END

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top