Qissa-E-Meher-O-Wafa

Kab Ka Puraana Ho Gaya

Qissa-E-Meher-O-Wafa

Kab Ka Puraana Ho Gaya

Unn Se Bichrre Bhi Humein

Ab To Zamana Ho Gaya

Qissa-E-Meher-O-Wafa

Kab Ka Puraana Ho Gaya

 

 

Raat Ke Pichle Peher

Dekha Tha Jinko Khuwaab Mein

Raat Ke Pichle Peher

Dekha Tha Jinko Khuwaab Mein

Zindagi Bhar Ab Unhe

Mushkil Bhulaana Ho Gaya

Qissa-E-Meher-O-Wafa

Kab Ka Puraana Ho Gaya

 

Pyaar Ke Do Bol Hi

To Thay Meri Ruswayi Ke

Pyaar Ke Do Bol Hi

To Thay Meri Ruswayi Ke

Ek Zara Si Baat Ka

Itna Fasaana Ho Gaya

Qissa-E-Meher-O-Wafa

Kab Ka Puraana Ho Gaya

 

 

Unnki Zulfon Ki Ghaneeri Chhaa’on

Kya Aayi Ke Phir

Unnki Zulfon Ki Ghaneeri Chhaa’on

Kya Aayi Ke Phir

Dekhte Hi Dekhte Mausam

Suhaana Ho Gaya

Qissa-E-Meher-O-Wafa

Kab Ka Puraana Ho Gaya

 

 

Jis Gali Mein Hichkichaate Thay

Kabhi Jaate Howe

Jis Gali Mein Hichkichaate Thay

Kabhi Jaate Howe

Uss Gali Mein Ab *Hasan* Ka

Aana Jaana Ho Gaya

Qissa-E-Meher-O-Wafa

Kab Ka Puraana Ho Gaya

Unn Se Bichrre Bhi Humein

Ab To Zamana Ho Gaya

Qissa-E-Meher-O-Wafa

Kab Ka Puraana Ho Gaya

 

 

Poet : Hasan Rizvi


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top