Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

Apni Hi Chaap

Raah Ka Pathhar Lagi Mujhe

Apni Hi Chaap

Raah Ka Pathhar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

 

 

Bharrka Howa Tha

Shola-E-Ehsaas Is Qadar

Bharrka Howa Tha

Shola-E-Ehsaas Is Qadar

Sehraa Ki Dhoop Saaye Se

Behtar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

 

 

Taqseem Ho Gaya Hoon Main

Khairaat Ki Tarah

Taqseem Ho Gaya Hoon Main

Khairaat Ki Tarah

Duniya Kisi Faqeer Ki

Chaadar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

 

 

Yun Dil Bujha Ke Khoon Se

Uthh’ne Laga Dhuwaan

Yun Dil Bujha Ke Khoon Se

Uthh’ne Laga Dhuwaan

Uthh’te Dhuwen Ki Lau

Tera Paikar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

 

 

Pathhra Chala Hai Jism Bhi

Aankhon Ke Saath Saath

Woh Zarb-E-Intezaar * Muzaffar * Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

Apni Hi Chaap

Raah Ka Pathhar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

Dekha Idhar Udhar

To Ye Thokar Lagi Mujhe

 

 

Poet : Muzaffar Warsi


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top